Saturday 26 July 2014

आख़िरी कहानी- सैनिक की ज़ुबानी

इन हाथों की लकीरों मे तेरी तस्वीर बाकी है
किताबों के इन पन्नो मे अधूरे अश्क़ बाकी है
तेरे चेहरे की प्यारी सी हँसी, हाथों से है मेरे
ना भूलू मै मेरे हाथो मे जो तेरी निशानी है
तेरे मेरे हिस्से की बस ये ही कहानी है

वो जब वक़्त के पहिए से ना कोई वास्ता रहता 
वो जब फूलों पे भावरों की तरह मन बहता ही रहता
बन सूर्य दिल नभ पे तुम्हारे गीत लिखता था
आज फिर वही गीत हुमको गुनगुनानी है
तेरे मेरे हिस्से की बस ये ही कहानी है

शिखर पे मौत से लड़ते हुए ये याद फिर आई
मेरे महलो मे रहने वाली, कैसे सहे रुसवाई
मेरे सपनो के महलो मे वो टूटी बंद सी खिड़की
आँगन मे टूटा, बिखरा पड़ा वो मन
तेरे हाथों की ख़ुश्बू को लहू से मिटानी है
तेरे मेरे हिस्से की बस ये ही कहानी है

                           मनीष (सुहास) पांडे

Sunday 11 November 2012

Hum v kuch kam nahi

wo masum hai to kya,
hum v jawa kuch kam nahi
wo husn me magroor hai to kya
hum v bekasoor kuch kam nahi
dhadakte honge laakho dil
unki kadamo me ae khuda
magar ghalib ki basti me
hum v mashhoor kuch kam nahi

Wo soch k bethe hai, hum ret ki deewar hai

wo barso ki saltanat hai, hum parso ki sarkar hai
koi keh do jaake malikka-e-husn se
Bin Ranjhe ke Heer ka husn v bekar hai

Aaj bataenge unko hum kis ilm ki dawa hai
Wo puchte the kaho tumhari kya saja hai
Husn ke aagosh me wo
ghar ki dewaro me bandh jaege
Hum geet gungunaege
Wo sun v na paenge
Jab waqt purane lamho ki dehliz par le jaega
us waqt unhe ye mera geet yaad aaega

Dil me shabd humare v hai
koi raag bata kar to dekho
simat jaega jaha baahon me
humse nain lada kar to dekho
Taumra nibhaege sath tumhara, bas
nigaho me hume basa kar to dekho

Tuesday 22 November 2011

waqt ki ho tej aandhiyaan, jakhm hawayein de dengi
marham banke jindagi me us waqt magar tum aa jana..
suraj jalke lau barsaye, kirane humko jhulsa dengi
saaya banke jindagi me us waqt magar tum aa jana...

sab kehte saath nahi tu mere
chor diye tune sab waade adhure
seh lete taane sab saath agar jo tum hote
jab baate chot kare dil pe, jakhm naasor bana dengi
saaya banke saath mera us waqt magar tum de jana..

                                                                            Manish Suhas Pandey (MSP)

Friday 29 July 2011

AISA KYON HOTA HAI

Aisa kyon hota hai
jab har taraf gam ka saaya gehraata hai
falak par dard ka kaala baadal chhata hai
jab man hi man me jindagi veeran lage
tab har mod pe mujhko tera hi khayal aata hai

Aisa kyon hota hai
Jab chaand ungliyon pe barasne se katraye
jab shaam kabhi waqt se pehle dhal jaye
har mehfil, har rang feeka pad jaata hai
tab har mod pe mujhko tera hi khayal aata hai

Aisa kyon hota hai
Aasaman ke neelam nazaare humse kahi chhup jaate hai
Chaand ke paas har sitaare humse ruth jaate hai
jab doodh si safed chandni jameen pe nahi utarti
jab amavas ki kaali raat me taras jaati hai ye dharti
jab roshni ka har ek katra bhi ateet ban jaata hai
tab har mod pe mujhko tera hi khayal aata hai

Aisa kyon hota hai
Jab sansanti hui hawa mere kaano ko chhu jati hai
Mujhe phir wahi haseen kisse sunati hai
Jhuke hue ped, sarsarati pattiyaan
Ateet ke phir wahi surile geet gaati hai
Naajaney kyon phir wahi baadal chha jata hai
tab har mod pe mujhko tera hi khayal aata hai

Aisa kyon hota hai
Sagar ki gehraayion se dar jaata hu mai
Kho na du tere sang jeene ki ye pyaas kahi
Kar lu tera deedar kahi to band ho jaati hai palke
Aansuon ke sang beh na jaaye ye ehsaas kahi
Aansuon ke sang jab har armaan beh jaata hai
Tab har mod pe mujhko tera hi khayal aata hai

Aisa kyon hota hai
Hota hai samaa majboor itna ki
Ankhon me aansu hai magar wo beh nahi paate
Hoti hai dil ki manzil saamne nigaaho ke
Magar Dil ki baat jubaan se keh nahi paate
Jab yaado ke mele me jajbaat adhura reh jaata hai
Jab wqt ke jhamele me har baat adhura reh jaata hai
Tab har mod pe mujhko tera hi khayal aata hai

Mai nahi jaanta ki tujh bin meri pehchan kya hai
Teri rooh na ho saamil to mujhme jaan kya hai
Har dua me rab se maanga hai tujhe maine
Mai nahi jaanta ki tera naam kya hai

Yehi sach hai tere hone se hai mera hona
Tere bin lagta khamosh patthar hai har sona
Mohabbat ki adaalat me bhatakte firu mai dar dar
aarju hai tu mil jaaye,
fir kya hai paana aur kya hai khona

Dilo ke satranj me ye tune kaisa bisad bichaaya hai
Rani ki chahat me maine har mohra gawaaya hai
Raja to tune jeet liya priye magar
Humne to rani bas khyalo me paaya hai

Aisa kyon hota hai
Jab rani par humari kisi raja ki najar pad jati hai
Samay ki har chaal us waqt thahar jati hai
Mohro ki kataare luta dete hai jee jaan se
Satranj ki bisaad ho ya teri agaadh yaad ho
Kyon rani hi har taraf najar aati hai
Jab raja rani ke khel me dil akela pad jata hai
Tab har mod pe mujhko tera hi khayal aata hai
Aisa kyon hota hai...........

                                                         Manish Suhas Pandey (MSP)

Wednesday 27 July 2011

Prem

Chhup chhup ke palkon ke niche,kyon humse nazrein milati ho
Door door ja kar bhi humse, kyon dil ke paas hi aati ho

Jaogi tum jis raste bhi, wo meri gali hi aaega
tum laakh manao khud ko lekin, ishq humse ho jaega
har baar mana ke dil ko apne, door kahi jo jaati ho
jiwan ke har us raah me kyon, har waqt mujhi ko paati ho 

Yun to tera ghabrana bhi ek ada ban jaata hai
Kyon mera tujh pe marna bas ek khata ban jaata hai
Yun to bansuriwaale ne bhi kiya tha sacha prem magar
kyon mera gagan me udna bas ek sajaa ban jaata hai

Meri baansuri ki dhun par tum jo bhag bhag ke aati ho
Fir kehti ho ye prem nahi hai, kyon mujhse haal chhupati ho
Chhup chhup ke palkon ke niche,kyon humse nazrein milati ho
Door door ja kar bhi humse, kyon dil ke paas hi aati ho......


                                          Manish Suhas Pandey (MSP)

Saturday 23 July 2011

TUM

sochta hu baithe yun tanha
tum hote to kaisa hota
kuch raeth me khili bahar jaisa
kuch dhoop me chhaon jaisa hota
door tak faile bhanwar me
umeed ki ek nao jaisa hota

yu to mushkarana sabko aata hai
magar tumhara mushkana andhero me
pariyon ke gaon jaisa hota..
                                                         Manish Suhas Pandey (MSP)

AISA KAR DO

Deewano ki is mehfil me naam mera saamil kar do
Jo beet gaye suhaane pal unhe haasil kar lo
Kuch chhut gaye humse kal lamhe haseen
Fir mushkara ke hume un lamho me saamil kar do
 
Yu to humare jeene ke bahaane bahut hai
Gaate nahi hum magar taraane bahut hai
Reh jaati hai har baat dil me kahi dab kar
Magar suna hai in labzo ke deewane bahut hai
Kal jo raah me milenge hum to keh denge
Kavi na chupana apni is muskrahat ko qnki
Palat ke dekho kavi, iske dewaane bahut hai..
Kuch rooth gaye the kal gulshan humse
Kuch chhut gaye the kal aangan humse
Fir de kar saath humara aaj wahi
Us aangan me gulshan ko saamil kar do..
                                               Manish Suhas Pandey (MSP)