Saturday, 23 July 2011

MERA DESH

      ......Dedicated to Mumbai 26/11 Martyrs and blast victims.........
Laakh banaye tarkibe wo, hasti humari mitane ko
Kar le har kosis wo, humara watan lutane ko
Masum chehro ki chuppi ko nadani mat samajhna
Har bacha yaha khada hai dushman ko aag lagane ko 
Are kaayaro kya ladte ho budhi nam aankho ke ujaalo se
Agar hai himmat to aao ladne watan ke veer rakhwalo se
Khada hai waha har ek veer tumhare khun ka pyasa
Nikal denge apne watan ka naam bhi tumhare khyalo se
Khoob chadhayi baliyaan tumne mere desh ke veero ki
Khoob sahi humne bhi bediyaan dushman ke zanziro ki
Ab na sahenge ye atyachaar hum apne seene pe
Bhadak uthi hai manavta ab mere watan ke shero ki....

No comments:

Post a Comment