Friday, 22 July 2011

saath

hasi me har koi sath hai , koi sath roye to jaane......
khusi me har koi khus hai, gam me sath muskaraye to jaane...
yu to chaandni raat me sab saath chalenge hamaare
koi kadi dhup me yu hi sath de jaye to jaane.....
bahaaro k saathi to milenge hazaaro
koi patjhad me saath jhad jaye to jaane....

hame hai maalum wo humare ache dost hai
chalne ka waada kiya hai har raah pe sath
par kaise kahe jaakar sabse ki koi jo
kaanto bhari raah me humsafar ban jaye to jaane....

                                                            Manish Suhas Pandey (MSP)

No comments:

Post a Comment